Monday, 22 April 2013

Ye soch kar ke teri jabin par na bal paRe


Ye soch kar ke teri jabin par na bal paRe
Bas duur hi se dekh liya aur chal paRe

Dil main phir ik kasak si uthi muddaton ke bad
Ik umr ke ruke huye aansuu nikal paRe

Seene main beqarar hain murda muhabbaten
Mumkin hai ye charagh kabhi khud hi jal paRe

Ay dil tujhe badalati hui rut se kya mila
Paudhon main phul aur darakhton main phal paRe

Ab kis ke intezaar main jagen tamam shab
Wo saath ho to neend main kaise khalal paRe

Shehzad dil ko zabt ka yara nahi raha
Nikla jo maah'tab samandar uchal paRe.

No comments:

Post a Comment