Friday, 29 November 2013

EhSaan Iss Qadar Na Jatao Janaab E Mann..

EhSaan Iss Qadar Na Jatao Janaab E Mann..

Jana He Chahate Ho t0 Jao ! Janaab E Mann..

Hai Koi Iss Murawwat O DiL-Joyi Ka HiSaab..?

Hum Be-KaSon Ko Zehr PiLao Janaab E Mann..

AuSaaf E ZinDaGi K Manaafi Hai Khaamushi

Labb Wa Kro, TaranGG Mein Aao Janaab E Mann

AaSaan Nhi HadOod E MataaNat Ka ToOtna

Ik Roz Be-HiSaab PiLao Janaab E Mann..!

KaL Jo Hoa Wo KaL Ki Lehadd Mein ChaLa Gaya

Ab KaL Ki Baat BhOoL Bhi Jaao Janaab E Mann

Aankhen MilLain t0 RanGG PaKarti Hai ZinDaGi

AanKhen HaZaar Baar MiLao Janaab E Mann

Lena Hai DiL Addam' Ka t0 Le LiJiye Abhi

ChaRh Jaye KaL Na CheeZ Ka Bhaao Janaab E Mann..

No comments:

Post a Comment