Seene main dharkta ek chota sa dil hai,
Seene main dharkta ek chota sa dil hai,
Dil main ek armaan rakha hai
armanoon main zindagi tumhare pyar k sahare,
Pyar ka naam phir jaan rakha hai.
Mehak jata hai jevan tere laboon ki hansi ke sath
hansi mein jeene ka mukam rakha hai,
Mukam hasil hua jo aaye tum bahar ban ker,
Bahar ka naam phir jaan rakha hai,
Jane kyon madhosh ho jata hoon
Teri bahoon main aaker,
Bahoon main teri nasha tamam rakha hai,
Nasha milta hai teri jheel si sharmai aankhoon main,
Aankhoon ka naam phir jaam rakha hai,
Jism jab ban jati hai rooh, rooh ko phir milta hai khuda,
Khuda tujhe humdam khud ko insaan rakha hai,
insaan hoon tu darr jata hoo,
Soch kar tujse judai ki baat
Judai ka naam zindagi ki akhri sham rakha hai.
No comments:
Post a Comment