Tuesday, 19 March 2013

Mohabat K Safar Mein Jab Wafa Ka Silsla Likha

Mohabat K Safar Mein Jab Wafa Ka Silsla Likha
+
To Tujh Ko Apni Hasti Ka Akela Aashna Likha
+
Zamany Ki Adawat Ne Kaafir Tak Kaha Mujh Ko
+
Phir Bhi Meri Chahat Ne Tujhy Sab Se Juda Likha
+
Mere Jazbon Ki Taaqat Ko Koi Bhi Samjh Na Paya
+
Kisi Ne Ibtada Likha Kisi Ne Inteha Likha
+
Teri Hasti Qayamat Thi Ya Koi Sehar Tha Tujh Mein
+
K Khud Taqdeer Ne Tujh Ko Dua Ka Moujaza Likha
+
Meri Dharkan Ki Bandish Pe Zamany K Maseeha Ne
+
Mohabat Ko Gham Likha Tujhe UsKi Dawa Likha
+
Mujhy Ye Fakhar Hai K Main Tujhy Tehreer Karta Hun
+
Isi Khatir Tujhy Pal Pal Apna Hum'Nawa
Likha ..........

No comments:

Post a Comment